Iss haftey ka Khayaal!
"Aaj
ke Bharat mei.n zaheen hona gunah ho gaya.Apney muluk mei.n qotta
system ussey jeenay nahi deta aur baruni mulak mei.n log iss liyey
nafrat kartey hai.n ke yeh log unka rozgaar chheen rahey hai.n.Woh
tou,'na ghar ke rahe na Ghaat ke','jaayei.n toe jaayein kaha.n?' Ullu
kahei.n ya gadhey samazh mei.n nahi.n aaraha! Jab hum college mei.n
padhtey tthey gaaya kartey tthey,'Aish kar lo dosto college ki diwaaro.n
mei.n;kalh ko llikhey jaao-gey sab ke sab bekaaro.n mei.n!".Dono taraf
ki naffrat ne nikkama kar diya verna hum aadmi tthey kaam key!Musley ka
hull nikalna chaahieay ye waqat ka taqaaza hai."
Comments
Post a Comment