Joke of the day!



Kahani; Ameer, Gareeb,Ghoda aur Goli ki!

Kahani: Matlab;'Kaha-nahi';Meaning,'Not true'.lekin jo mai.n bataa raha hu.n woh bilkul sachi hai kyu.nkey uss desh mei.n mashoor hai,jis desh mei.n Ganga behati hai!
Gareeb aadmi ghodey bech kar sotaa hai.Ghodey uss ke apney kaha.n hotteay hai.n, iss liyey naffeay nuksaan se uss ka kya lena-dena? Iss liye chaien ki neend sotaa hai!
Ameer aadmi har waqat ghodey pe swaar rehta hai, iss liye neend  aaney ka ka swaal hi kaha.n paida hota hai.Maalik ko naffey nuksaan ki chintaa rehti hai,aur 'chintaa chitta samaan', soney ke liye need ki goli khani padti hai!
Ghoda jab kaam ka na rahe uss ko 'hamesha ke liye sulaa diya jata hai' 'goli khilaa ke'!


-Tejinder Kamboj

Comments

Popular posts from this blog

Sunday Special--God's Cow!

Sunday Special-Surkhaab ke Par!

Quote of the Week!