Shiary!

Aarz kiya hai..............

1)  Jis ko kahete hai.n mohabbat, Jis ko kaihtey khuloos (sincerity) jhonpado.n(Huts) mei.n ho to ho ,makaanon(Mansions) mein nahi.n.


2)  Kuch is tarah maine zindagi ko aasaan kar diya,
kisi se maafi maang li to kisi ko maaf kar diya...!

3) Is qadarr tora hai mujhaay uss ke be-wafaai nay "ghalib"
Abb koi agarr pyar se bhi daikhaay to bikharr jata hoon mai ...


4) Kitnaa khouff hota hai shaam kay andheroon mein,
Poochh un parindo.n say jin kay ghar nahi hotay ...

5) Hum toh fanaah ho gaye uskii ankhen dekh kar Ghalib,
Naa janay woh Aainaa kiasay dekhte hogey ...!

6) Unkay dekhnay say jo aa jaati hai muh par raunaqq,
Woh samajhatey hai ki bimaar ka haal achcha hai ...

7) Dil say terey nigaah jigarr tak utarr gaye,
Dono ko eik adaa mein razaamand karr gaye ...


8) Mitegi aapke dil ki chubhan zaroor,
Kisi ke paer ka kanta nikal kar dekho.

(On helplessness and hopelessness of old age:)
  9) Rahi na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhi to
kis umeed pe kahiye ke aarzoo kya hai!

(On keeping  desires and fantasies alive in Old age)
10)  Go haath ko jumbish nahi aankhon mein to dum hai
Rehney do abhi sagar-o-meena mirey aagey.
https://byonlineweb.files.wordpress.com/2013/12/mirza-ghalib.jpg
Mirza Ghalib
(in old age, we emotionally surrender ourselves to life as part of the children’s)

Mujhko tujhko jeevan amrit abb in hathon se pena hai
Inki dadkan mei.n basna hai in ki saaso.n mei.n jeena hai. 
 
http://www.glamsham.com/movies/news/13/oct/sahir-ludhianvi.jpg
Sahir Ludhianvi

(For non performing shameless leaders)

Kursi hai, tumhara ye janaaza to nahi.n
Kuch kar nahi.n saktey to utar kyun nahi.n jaatey?
-Un-known

On Eve Teasing:

1) Yeh Hasino.n ke chehare meri Tasbee( Rosary) ke Manke(Beeds) hai.n,
Nigaho.n mei.n phirte rehte hai.n, Aabaadat(Worship) hoti rehti hai!

2) Hasino.n ko dekh lena, nazrei.n jhukaa lena,
Aabadat ki abaadat hai,Ziaarat ki ziaarat( Pilgrimage) hai!

3) Paani kisi hasee.n ki nazar se guzaar de,
Yeh bhi ek nuskha( Formula) hai kassedey(Distillation) sharaab ka!

kambojs@hotmail.com
-Tejinder Kamboj

Comments

Popular posts from this blog

Sunday Special--God's Cow!

Sunday Special-Surkhaab ke Par!

Quote of the Week!